Add
Wednesday, November 14, 2018
Mobile Phone Ko Fast Kaise Kare | Speed Kaise Badhaye
Kya aapka mobile slow ho gaya hai? Aur bar-bar hang ho jata hai. Aise un
sabhi smartphones ke sath hota hai jo samaj ke sath purane ho jate hai aur
kabhi update nahi hue hote hai. Mobile hang hona kisi ko bhi pasand nahi hai,
kyuki hamhe mobile me sab kuch fast chahiye.
Aaj hum janenge ki
mobile hang kyu hota hai aur mobile ko hang hone se kaise bachaye? Aur sath hi
janenge ki mobile ki speed kaise badhaye.
Jab hum koi naya
phone lete hai tho wo poori tarah se fresh hota hai. Usme koi user data aur
cache file nahi hote hai. Lekin kuch time baad mobile ke storage me Temporary
Files, Application cached data aur user data store hone lagta hai. Jisse mobile
ki speed par effect padne hai.
Mobile phone ki speed kam hona ya hang hone ka ek sabse bada karan ye hai
ki hum mobile me bekar ki apps install kar lete hai. Hum un apps ka use tho
nahi karte lekin hamhare mobile ko un sabhi installed apps ko process karna
padta hai. Jisse mobile ki speed par effect padta hai.
Mobile Update kare
Sabse pehle aap
apne Android phone ko update kare. Androids phone ka update mobile ki speed
badhane ke liye hi banaya jata hai. Apne phone ka update check karne ke liye→Setting→About Phone→Software Update par click
kare. Agar aapke mobile ka update available ho tho aap use download kar install
kare.
Cached Data Clear Kare
Cached data clear
karne ke liye →Setting→Storage→Cached data par
click kare aur sara data clear kar de. Agar aapke mobile ki setting me Cached
data option nahi hai tho aap →Setting→Appsme
jaye. Phir us app ko open kare jo aap sabse jyada use karte hai. Uske baad Clear cache par click kare.
Unused Apps Ko Uninstall
Kare
Apps Notification Off
Kare
Jabhi ham mobile me
internet on karte hai tho bahut sare notification alerts aa jate hai. Aise me
mobile sabse jyada slow ho jata hai. Kisi bhi app ka notification band karne ke
liye →Setting→Appsme jaye. Phir us app ko click kare jiska
notification aap band karna chahate hai. Waha par apko Show Notification dekhega uske samne check ✔ nishan ko uncheck karde.
Phir wo aap kabhi bhi notification alert nahi dekhayega.
Home Screen par
bahut saare widget hone se mobile ki speed par asar padta hai. Animation wale
wallpapers use na kare aur apps shortcut bhi kam se kam rakhe.
Auto Sync Off Rakhe
Factory Data Reset
Ye option maine
aapko sabse last me isliye bataya hai ki ye option use karne se apka mobile
reset ho jayega. Reset hone ke baad mobile ka saara data delete ho jayega aur
mobile phirse starting jaisa ho jayega. Is option ko tabhi istamal kare jab
apki mobile ki speed bahut slow ya phir apka mobile bahut hi jyada hang hone
lage.
Factory Reset karne
ke liye →Setting→Backup & Reset par click kare yaha
aapko sabse pehle Backup my data option dekhega.
Pehle aap ek Backup bana le aur ye backup aapke Google account se server par
upload ho jayega. Iske baad Factory data reset karde.
In tariko se yakinan aapko apne
mobile phone ki speed badane me madad milegi. Agar apke mann me koi sawal hai
tho aap comment karke puch sakte hai.
Labels:
TeCh
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment